kya meri aankhon mein sannaTa hai
nahin barf-bari ho rahi hai
log mujh se KHauf khane lage hain jaise murde se
kya mujh se kafur ki bu aati hai
nahin to meri sanson mein sawan ka abas aur amaltas ki garmi hai
aur sanso aur aankhon ke darmiyan
fasla ziyaada nahin
phir bhi bahut hai
is liye ki KHatm ho jae to strugle hi KHatm ho jae
zindagi ko jari to rakhna hai intiqam
raat bahut paDi hai alaw jalta rahe to achchha hai
jaanwar dhuen se KHauf khate hain
aur insan rakh se
aag mera suhag hai
aashiqon ke dilon par han nahin hote ki mang nikal kar aag bhar di jae
is liye un ke dil phaT jate hain
aag andar utar jati hai
upar barf girti rahti hai
kapas ke phulon par moharram ka mausam hai ya-husaina wa-husaina
kapas dhunki hui aasman ki chhati se barasti hai
ThanDi Thaar palken bhi nahin jhapaktin
palkon ki jhaalaren safed ho jati hain barf ban kar un mein aTi rahti hai
aur andar baramde KHali ho jate hain session mag jata hai
laDki naKHun kaTti hai to chand us ki hatheli par utar aata hai
tumhaara dulha bahut KHub-surat hoga
donon hatheliyan joDo to bhala
chand to pura ho gaya magar raushni hathon mein band nahin ho saki
phail gai hatheliyon mein chhed the
scientific si baat hai
aag amir suhag sab laDkiyon ke dilon mein nahin jalti is liye ki sab
laDkiyan aashiq nahin hotin
mahbubaen hoti hain
aur un ki aankhon ke baramde KHwan se saje rahte hain
barf-bari un ke liye session hai mere liye mausam apne mashriq manon ke sath
suraj tulua hota hai
barf-bari aur bulandiyon par chaDh gai
jaanwar maidanon mein nikal aae palken KHana-ba-dosh ho gain
apna sawan uThae uThae
ghaT ghaT do band pani islam-abaad mein na rajasthan mein
barf ki nahr nikali jaegi
aur mahbubaen aag ke bistar par leT kar miThi barf ke gole chusengi
abhi un ki umr hi kya hai
abhi to ye log small-chickens-of-snakes palti hain
mathe par kunDal Dalti hain
chahe jaane ke liye
lambi sunahri kar aur
do bund pani
na barfistan mein na aatish-dan mein
laDki ki jins tabdil ho rahi hai
laDki ka dulha do bund pani ki KHatir hawa ho gaya
laDki scare-crow ho gai shayad dulha ke bhaiyon ke kheton mein
achchha hai dar-badari hone se to bach rahi
bach rahi to use bachane
us ka dulha zarur aaega
Nazm
Do bund pani
Nasreen Anjum Sethi