اردو हिंदी
Do ajnabi | Shaahi Shayari
do ajnabi

Nazm

Do ajnabi

Javed Kamal Rampuri

;

aaj bhi subh se nikle the kahin
koi ummid koi aas nahin

koi wada koi iqrar nahin
kaun jaane ki kahan jate ho

roz aate ho chale aate ho
ajnabi des hai pardesi ho

koi rishta koi nata bhi nahin
koi apna ya paraya bhi nahin

naukri ya kisi dhande ke liye
koi neta ya koi afsar hai

koi fan koi hunar aata hai
dast-kari ya koi kaam nahin

ghar se kuchh sath mein lae hoge
KHarch ke waste kuchh dam nahin

jaane kis aas pe tum jite ho
jaane tum khate ho kya pite ho

aaj bhi subh se bhuke hoge
nashta chae ya kuchh aur nahin