ek patti ke
TuTne girne ki aawaz se
sihar uTha hai
sahemta
peD
be-talluq shaKH par baiThi hai
chiDiya
nak ke niche paDa hai
ghonsla bikhra hua
jis ke girne aur bikharne ki
sada se
be-KHabar hai
peD
muddaton se
wo hamari hi tarah hain
sath sath

Nazm
Do ajnabi
Aadil Raza Mansoori