اردو हिंदी
Diye aankhon ki surat bujh chuke hain | Shaahi Shayari
diye aankhon ki surat bujh chuke hain

Nazm

Diye aankhon ki surat bujh chuke hain

Najeeb Ahmad

;

wasl ke lamhon ki ginti karne wale hath hiddat se tahi hain
mauj mein aae hue dariya mein kashti kaun Dale

manjhiyon ke git lahron ki tarah sahil ki bhigi ret par bikhre hue hain
ab kisi buDhiya ki gaThri koi ahl-e-dil uTha kar bastiyon ka ruKH nahin karta

kisi ham-sae se ahwal-e-dil malum karna kar-e-be-ujrat hua hai
nafsi nafsi ki hawaen zat ke tarik jangal mein baDi aasudgi se chal rahi hain

KHana-e-dil mein wafaon ke diye aankhon ki surat bujh chuke hain
bhiD mein rasta nahin milta charaghon ki qataron mein charagh-e-gul nahin milta ki jis par raushni ka gul khila ho

wasl ke lamhon mein rang-e-nur bharne wali aankhen apni narmi se tahi hain
wasl ke lamhon mein rang-e-ishq bharne wali poren apni garmi se tahi hain