aur phir
subh ne lapeTe
dabiz KHwabon ke
narm bistar
din ki dukhti ragon mein utre
shadid mayusiyon ke
nashtar
simaT ke baiThe
alam ki Tahni pe
par-burida
shikasta-pa
aarzu ke tair
wafa ke aangan mein
na-tawan
KHasta-haal
umidon ki sans ukhDi
aur diwar-o-dar pe
manDlae
kina-KHu
nafraton ke dil-char
shikasta lamhon ke karwan
zist ke
shoala-bar sahra mein
kasa-e-dard le ke nikle
ki koi chashma mile
to ruh ki tishnagi miTaen
wagarna baDhte rahen
aarzu mein
Nazm
Din ka karb
Zahida Zaidi