hadd-e-idrak se mawara
manzil-e-KHak tak
ek aarasta
jhumte-jhamte asr se lamha-e-chaak tak
din guzar jaega
bas yunhi din guzar jaega
nim malum sadiyon ke sina-e-asrar ko
daera daera kholte kholte
apne chhabbis barson ka sona
tere gham ki mizan par taulte taulte
din guzar jaega
bas yunhi din guzar jaega
cash ki gintiyon phone ki ghanTiyon
gahakon ki hama-waqt takrar mein
woucheron goshwaron zamimon ke ambar mein
din guzar jaega
bas yunhi din guzar jaega
Nazm
Din guzar jaega
Farrukh Yar