wahi bahaar o KHizan hai mujh mein bhi
mujh se bahar bhi
(admi se alag nahin hun)
shagufe phuTen to KHun mein git bolte hain
kabhi kabhi KHar ki khaTak Tis ban ke honTon se jhankti hai
na-jaane kitne hi git the jo bahaar se pahle
shaKH ki rag mein ji rahe the
jaDon ka buKHl un ko kha gaya hai
ye KHar, sautele beTe shaKHon ke
in tak aaya nahin hai nam
phir bhi ji rahe hain
(chamakte suraj ka sara sach un ke batn mein hai)
tapish ki shiddat ko pi ke sukhe saDe hue hain
pa ji rahe hain
mujhe KHizan aur bahaar ke rabton mein jina hai
phul ka iltifat kanTe ke talKH tane
mere hawale hain
jaD ka nam, aaftab ki tab
mere hunar mein hi bolti hai
main kitni sathon pe ji raha hun
kabhi koi phul muskurae
kabhi koi KHar dil dukhae
to mujh tak aana
ye nazm donon ka majra hai
Nazm
Dimensions
Tabish Kamal