dilli! teri chhanw baDi qahri
meri puri kaya pighal rahi
mujhe gale laga kar gali gali
dhire se kahe tu kaun hai ri?
main kaun hun man teri jai hun
par bhes nae se aai hun
main ramti pahunchi apnon tak
par prit parai lai hun
tariKH ki ghor guphaon mein
shayad pae pahchan meri
tha bij mein des ka pyar ghula
pardes mein kya kya bel chaDhi
nas nas mein lahu to tera hai
par aansu mere apne hain
honTon par rahi teri boli
par nain mein sindh ke sapne hain
man maTi jamuna ghaT ki thi
par samajh zara us ki dhaDkan
is mein karunjhar ki siski
is mein ho ke Dalta chaltan!
tere aangan miTha kuan hanse
kya phal pae mera man rogi
ek rit nagar se moh mera
baste hain jahan pyase jogi
tera mujh se kokh ka nata hai
mere man ki piDa jaan zara
wo rup dikhaun tujhe kaise
jis par sab tan man war diya
kya git hain wo koh-yaron ke
kya ghail un ki bani hai
kya laj rangi wo phaTi chadar
jo tharki tapat ne tani hai
wo ghaw ghaw tan un ke
par nas nas mein agni dahki
wo baT ghiri sanginon se
aur jhapaT shikari kutton ki
hain jin ke hath par angare
main un banjaron ki chiri
man un ke aage kos kaDe
aur sar pe kaDakti do-pahri
main bandi bandhun ki bandi
wo bandi-KHane toDenge
hai jin hathon mein hath diya
so sari salaKHen moDenge
tu sada suhagan ho man ri!
mujhe apni toD nibhana hai
ri dilli chhu kar charan tere
mujh ko wapas muD jaana hai
Nazm
Dilli teri chhanw…
Fahmida Riaz