dilli nai purani dekhi
KHair-o-shar hairani dekhi
kursi ki sultani dekhi
dhoti par sherwani dekhi
bin raja ke raj ko dekha
bhaarat ke sartaj ko dekha
mantari mahraj ko dekha
ulTe-sidhe kaj ko dekha
kursi hai ab taKHt ke badle
narmi hai ab saKHt ke badle
salim hai ab laKHt ke badle
baKHt nahin kam-baKHt ke badle
ek se ek nazare dekhe
jharne aur fawware dekhe
din mein chamke tare dekhe
caron mein na-kare dekhe
lok-sabha ke andar dekha
jock-sabha ka manzar dekha
ek se ek machhandar dekha
aadmi jaisa bandar dekha
KHun fasad aur danga dekha
billa dekha ranga dekha
dhun wala bhik-manga dekha
kapDe pahne nanga dekha
shar-panDit kaThmulla dekha
ram-bhagat abdullah dekha
sukhi ghas ka pulla dekha
be-ras ka ras-gulla dekha
boot-club par dharna dekha
kuchh nahin kar ke karna dekha
kahna aur mukarna dekha
himmat kar ke Darna dekha
colony aur basti dekhi
unchai aur pasti dekhi
daulat ki sarmasti dekhi
izzat sab se sasti dekhi
koThe dekhe zine dekhe
luchche aur kamine dekhe
sab ne sab ke sine dekhe
dil ke dard kisi ne dekhe?
shahnai aur band bhi dekha
DanDwat aur shake-hand bhi dekha
dilli mein england bhi dekha
serwant kam husband bhi dekha
urdu ka iqbaal bhi dekha
aur us ko pamal bhi dekha
urdu-ghar ka haal bhi dekha
'ghaalib' ke ghar Tal bhi dekha
urdu ke aiwan gae hum
le kar kuchh arman gae hum
dekhte hi qurban gae hum
business karna jaan gae hum
neta aani-jaani dekhe
jahil aur giyani dekhe
sindhi aur multani dekhe
kya kya hindostani dekhe
mp bikne wale dekhe
p-m Dhile-Dhaale dekhe
aafat ke parkale dekhe
jija bante sale dekhe
nar ke sar par nari dekhi
be-sar ki sardari dekhi
ayyari makkari dekhi
kanTon ki phulwari dekhi
nak ragaDne wale dekhe
bans pe chaDhne wale dekhe
gore jaise kale dekhe
bhole jaise bhaale dekhe
raj ke raj dulare dekhe
peT ki mar ke mare dekhe
yani kuchh bechaare dekhe
donon hath pasare dekhe
kucha aur bazar ko dekha
nadir-shah nadar ko dekha
hanste har makkar ko dekha
rote ek fankar ko dekha
ghar un ka bazar hai un ka
hotel un ka bar hai un ka
Tw se parchaar hai un ka
jo kuchh hai 'asrar' hai un ka
Nazm
Dilli darshan
Asrar jaamayee