pal hi pal mein ye sara tamasha hua
shahr ke panw mein sansanati hui
ek goli lagi
aur wo chakra ke
dharti pe aundha gira
dekhte dekhte us ke chaaron taraf
KHun ka ek talab sa ban gaya
jhaDiyon se Dari sahmi chiDiyan uDin
unche unche daraKHton ke
gunjaan patton mein dubke hue
sab parinde uDe
chiKHte chiKHte
aur dahshat-zada aasmanon
ke sahraon mein kho gae
KHun ka ek chhoTa sa talab hai
is mein chup-chap aundha paDa shahr hai
kash de kar zara sa sahaara use
ab uTha le koi
us ki eDi ki haDDi mein aTki hui
garm zahrili goli nikale koi
shahr zinda hai ab tak
bacha le koi
Nazm
Dilli 25 june 1975
Kumar Pashi