اردو हिंदी
Dil pit ki aag mein jalta hai | Shaahi Shayari
dil pit ki aag mein jalta hai

Nazm

Dil pit ki aag mein jalta hai

Ibn e Insha

;

dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe use jalne do
is aag se logo dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo

hum raat dina yun hi ghulte rahen koi puchhe ki hum ko na puchhe
koi sajan ho ya dushman ho tum zikr kisi ka mat chheDo

sab jaan ke sapne dekhte hain sab jaan ke dhoke khate hain
ye diwane sada hi sahi par itne bhi sada nahin yaro

kis baiThi tapish ke malik hain ThiThuri hui aag ke angiyare
tum ne kabhi senka hi nahin tum kya samjho tum kya jaano

dil pit ki aag mein jalta hai han jalta hai ise jalne do
is aag se tum to dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo

har mahfil mein hum donon ki kya kya nahin baaten hoti hain
in baaton ka mafhum hai kya tum kya samjho tum kya jaano

dil chal ke labon tak aa na saka lab khul na sake gham ja na saka
apna to bas itna qissa tha tum apni sunao apni kaho

wo sham kahan wo raat kahan wo waqt kahan wo baat kahan
jab marte the marne na diya ab jite hain ab jine do

dil pit ki aag mein jalta hai han jalta rahe ise jalne do
is aag se 'insha' dur raho ThanDi na karo pankha na jhalo

logon ki to baaten sachchi hain aur dil ka bhi kahna karna hua
par baat hamari mano to ya un ke bano ya apne raho

rahi bhi nahin rahzan bhi nahin bijli bhi nahin KHirman bhi nahin
aisa bhi bhala hota hai kahin tum bhi to ajab diwane ho

is khel mein har baat apni kahan jit apni kahan mat apni kahan
ya khel se yaksar uTh jao ya jati bazi jaane do

dil pit ki aag mein jalta hai