dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai
gandum phal shisham aur pani
phir laDki aur hawa mein
naghma dil ke parindon ka
in zindon ka jo ghair-munafa-baKHsh zamin pe rahte hain
pani shisham bachcha laDki tez hawa aur phal mein
KHwab hai subh-e-sadiq ka
un auraton ka jo dusron ki marzi se byahi jati hain
un boson ka
jo gaDi ki siTi se Dar jate hain
shahr mein kaun hai
jis ne aankh mein dariya
dil mein samundar
dekha aur taslim kiya hai
dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai
jis mein pani shisham gandum bachcha
laDki tez hawa aur phal ki
rihaish-gahen hain
Nazm
Dil ka phailaw
Asghar Nadeem Sayed