dil wo sahra tha
ki jis sahra mein
hasraten
ret ke Tilon ki tarah rahti thin
jab hawadis ki hawa
un ko miTane ke liye
chalti thi
yahan miTti thin
kahin aur ubhar aati thin
shakl khote hi
nai shakl mein Dhal jati thin
dil ke sahra pe magar ab ki bar
saneha guzra kuchh aisa
ki sunae na bane
aandhi wo aai ki sare Tile
aise bikhre
ki kahin aur ubhar hi na sake
yun miTe hain
ki kahin aur banae na bane
ab kahin
Tile nahin
ret nahin
ret ka zarra nahin
dil mein ab kuchh nahin
dil ko sahra bhi agar kahiye
to kaise kahiye
Nazm
Dil
Javed Akhtar