yun kahne ko rahen mulk-e-wafa ki ujal gaya
ek dhund mili jis rah mein paik-e-KHayal gaya
phir chand hamein kisi raat ki god mein Dal gaya
hum shahr mein Thahren, aisa to ji ka rog nahin
aur ban bhi hain sune un mein bhi hum se log nahin
aur kuche ko tere lauTne ka to sawal gaya
tere lutf-o-ata ki dhum sahi mahfil mahfil
ek shaKHs tha insha nam-e-mohabbat mein kaamil
ye shaKHs yahan pamal raha, pamal gaya
teri chah mein dekha hum ne ba-haal-e-KHarab ise
par ishq o wafa ke yaad rahe aadab ise
tera nam o maqam jo puchha, hans kar Tal gaya
ek sal gaya, ek sal naya hai aane ko
par waqt ki bhi ab hosh nahin diwane ko
dil hath se is ke wahshi hiran ki misal gaya
hum ahl-e-wafa ranjur sahi, majbur nahin
aur shahr-e-wafa se dasht-e-junun kuchh dur nahin
hum KHush na sahi, par tere sar ka wabaal gaya
ab husn ke gaDh aur shahr-panahen suni hain
wo jo aashna the un sab ki nigahen suni hain
par tu jo gaya har baat ka ji se malal gaya
Nazm
Dil-ashob
Ibn e Insha