sadiyon gung rahin diwaren
aur phir ek shab jaane kaise
diwaron par lafzon ke angare chamke
angaron ne mil-jul kar shoale bhaDkae
sare shahr mein aag lagi
kaghaz ke malbus jale
kale nange jismon se bazar bhare
aawazon ke jhakkaD aae baadal chiKHa
aangan ke be-dagh badan par
jali hui haDDiyon ke ole
patthar ban kar baras paDe
agle din jab ujli dhup pighalne aai
sab ne dekha
diwaron ke lab nile the
sab nangi thin
ghaTte baDhte sayon ki gungi bhasha mein
bol rahi thin
Nazm
Diwaren
Wazir Agha