kahte hain sab log
hote hain
diwaron ke kan
kamron ki tanhai mein
sargoshi mein kya kya baaten karte hain
chhup chhup kar jab log
diwaren sab sun leti hain
sun lete hain log
diwaron ki aankh bhi hoti hai
kitna achchha hota
aankh hai kan se behtar shayad
kamre ka ho ya phir chalti rahguzar ka
nazzara to nazzara hai
manzar aaKHir manzar hai
kya kya karte log
dekha karte log
diwaron ke bahar se
tariki mein diwaron ki jaanib jab bhi qadam uThate
lamha-bhar ko mumkin hai
socha karte log
Nazm
Diwaren
Balraj Komal