اردو हिंदी
Diwar | Shaahi Shayari
diwar

Nazm

Diwar

Saqi Faruqi

;

ragon mein nach raha hai ek aatishin zahrab
teri talash faqat jism ka taqaza hai

teri talab ke jahannam mein jal raha hai badan
lahu pukarta hai kya suna nahin tu ne

ki main ne ruh ki diwar hi gira di hai