idhar na aao
ki ye mahal ab shikast-e-shaukat ki dastan hai
ki ye mahal ab shikast-e-aqdar ka nishan hai
ki ye mahal ab shikast-e-afkar ki fughan hai
udhar na dekho
ki ye khanDar hai jinnon ka bhuton ka aastan hai
ki ye umangon ki be-basi ki baDi tawil ek dastan hai
ki ye hai maskan siyah raaton ka har taraf bas dhuan dhua Hai
udhar jhanko
shikasta inTon ki in daraazon mein chandni bhi sisak rahi hai
andheri raaton ki kali nagin siyahiyon mein chamak rahi hai
kiran kiran ka lahu pie hai to mast hai aur bahakr rahi hai
jo pahle tum us mahal mein aate
to rang o naghma ke sail pur nur se guzarte
to aarzu ki sharab mein Dubte ubharte
rasili banhon mein miThe sapnon ki Dub kar kis sukun se marte
jo pahle us samt se guzarte
to aarzuon ke naghma-e-dil nashin ko sunte
bahut hi rote aur aansuon se kai nae KHwab apne bunte
aur ek be-nam kaif-e-masti mein Du bkar apne sar ko dhunte
jo pahle us dard ko khaTkate
hasin ummidon ke pasban tum ko rang o bu ka payam dete
hare bhare sarw tum ko pariyon ke shazade ka nam dete
ya baam o dar hans ke tum ko pariyon ke shahzade ka nam dete
aur ab jo aae ho kya milega
nigar KHana ujaD chuka hai wo sari mahfil uKHaD gai hai
wo nikhat aarzu bhi diwana war har-su bhaTak rahi hai
amin thi jo dard-e-bekaran ki wo aah ghaT ghaT ke mar chuki hai
aur ab yahan kis ko DhunDte ho
yahan pe tum chiKHte rahoge jawab koi nahin milega
yahan pe DhunDte rahoge ye KHwab koi nahin milega
yahan pe sher o sharab o chang o raubab koi nahin milega
yahan pe kis ko bula rahe ho
yahan tumhaari sadao ke KHol gunj ban kar uDa karenge
wo khokhli gunj tum se puchegai aap yan aa ke kya karenge
Daro ge KHud apne saye se tum to bhut tum par hansa karenge
udhar na aao
udhar na aao yahan pe tum aa ke kya karoge
yahan pe bhuton ka raqs dekhoge aur phir aap hi Daroge
Daroge aa kale ka kale sayon ka raqs
diwar ki daraazon se dekh kar tum bahut hansoge
bahut hansoge
ye ek diwar-e-qahqaha
Nazm
Diwar qahqaha
Sajjad Baqar Rizvi