tu mujhe god mein le ke yaron azizon mein bazar-o-daftar ko jata
mujhe yaad hai ye
shahr ki nim tarik galiyon mein aksar main sunta tha ek Dar ki chap apne pichhe se aati
mere bachpan ki shaffaf masum aankhon mein na-mehrban jaane pahchane chehron ka Dar tha
mere dil ka ye shisha ek an-hone Dar se taDaKH sa gaya tha ki jis ki sada tak nahin thi
ye wo Dar tha ki jis ki koi ek tashrih mumkin nahin thi
magar mere kachche se dil mein
ek aasebi pipal ki jaD thi mujh ko tu ek din inhi mein akela chhoD dega
jis ki shaKHen hirasan nigahon se nikli wo shaKHen mujhe bed-e-majnun sa larzae rakhtin
tera sina wo diwar-e-kaba tha jis se chimaT kar main duniya ke har gham se begana hota
tere mushfiq do lab goya bab-e-haram the
wo bosa nahin tha halawat ka dar ek khula tha
jis se shirin latafat mein gundhi tamazat mere din ko taban meri raat ko garm rakhti
Dar andhere ka Dar shahr ki tang-o-tarik galiyon ka Dar mere bachpan ka hissa raha hai
Dar wo school ke raste mein khaDe ek majhul insan ka Dar jis ko KHud hum se Dar tha
Dar wo matruk baalin pe Dera kiye kuchh chuDailon ka Dar jo hamesha ka qissa raha hai
KHair ye Dar to bachpan ka hissa hue be-murawwat shanasa se chehron ka Dar hai abhi bhi
mere andar ka sahma sa bachcha wo diwar-e-kaba abhi DhunDhta hai ki jis mein aman thi
aaj daftar salamat hai bazar-o-kuche ki raunaq wahi hai
wo diwar-e-kaba magar ab nahin hai
main nowember ke us sard din mein TheThurta hun ab bhi ki jab tu akela mujhe kar gaya tha
Nazm
Diwar-e-kaba 19 nowember 1989
Bilal Ahmad