ajab jadu bhari aankhen thin us ki
wo jab palken uTha kar ek nazar takti to aankhon ki
siyah jhilon mein
jaise machhliyon ko aag lag jati
hazaron surKH Dore tilmila kar jast bharte
aab-e-gham ki qaid se bahar nikalne ke liye
sau sau jatan karte
magar majbur the
chaaron taraf aansu ke gumbad the
nami ke bulbule the
aur ek diwar-e-girya
jo azal se ta-abad phaili hui thi
ajab jadu bhari aankhen thin us ki
ba-zahir aane wale ko na aane ke liye kahti
ba-baatin chahti diwar ko wo toD kar us tak pahunch jaen
khaDa hun main pas-e-diwar-e-girya
nami ke bulbulon ko is ki palkon par larazte jhilmilate
dekhta hun ungliyon se chhu bhi sakta hun
magar diwar-e-girya ko
ufuq se ta ufuq phaili hui
shishe ki is shaffaf chadar ko kabhi ab tak to koi toD kar aage nahin aaya
main ek aansu bhare lamhe ki silwaT
main kaise par kar sakta hun is ko
Nazm
Diwar-e-girya
Wazir Agha