ek diwar jo hael hai meri sochon mein
kitne pechida sawalon se mujhe rokti hai
jab bhi main raKHt-e-safar bandhti hun shane par
apni jadu-bhari hasti se mujhe Tokti hai
ye jo diwar ki rahti hai siyah KHanon mein
din Dhale apne tilismat ko dikhlati hai
mujh ko mahsur kiye rakhti hai angaron mein
chaar jaanib ruKH-r-anwar se bahlati hai
aisa lagta hai ki taron se damakti hui raat
ek zara jumbish-e-mizhgan se bhi bujh jaegi
meri sochon ke tasalsul ko ye biphri nagin
ek hi aan mein afsos nigal jaegi
subh hote hi ye diwar-e-siyah KHanon mein
ret ke Dher ki manind utar jaegi
raat ki jadugari KHwab si ban jaegi
shama-danon mein faqat rakh hi rah jaegi
ek naya din meri viran guzargahon par
le ke kashkol mere sath utar aaega
mere daman se lipaT kar ye samay ka rela
mujh ko mujh se hi juda karne pe uksaega
ek diwar jo hael hai mari sochon mein
Nazm
Diwar-e-girya
Shaista Mufti