اردو हिंदी
Diwanon ka nam abad tak hota hai | Shaahi Shayari
diwanon ka nam abad tak hota hai

Nazm

Diwanon ka nam abad tak hota hai

Hanif Tarin

;

suna hai us ne paDhte paDhte
aankhon ko hairan kiya hai

pusht se lipTe aainon ke
zangaron ka dhyan kiya hai

sadiyon par phaili, an-dekhi
raushniyon ka gyan kiya hai

pal-do-pal wishram kiya tha
suna hai us ne likhte likhte

daftar mein apne jiwan ke
din kaTe to

raaton ka wardan diya hai
gahri fikr ke moTe moTe

shishe pahan kar
lafzon mein nae mani aur mafhum samo kar

aur guman ke darwazon par
nae taur se dastak de kar

fikr ki unchai se guzar kar
baDe baDe inam hain pae

duniya ke samman uThae
lekin ab to

apne art ke taj-mahal mein
ek taswir sa laTka hua hai