mera ye KHwab ki tum mere qarib aai ho
apne sae se jhijakti hui ghabraati hui
apne ehsas ki tahrik pe sharmati hui
apne qadmon ki bhi aawaz se katraati hui
apni sanson ke mahakte hue andaz liye
apni KHamoshi mein gahnae hue raaz liye
apne honTon pe ek anjam ka aaghaz liye
dil ki dhaDkan ko bahut rokti samjhati hui
apni pael ki ghazal-KHwani pe jhallati hui
narm shanon pe jawani ka naya bar liye
shoKH aankhon mein hijabaat se inkar liye
tez nabzon mein mulaqat ke aasar liye
kale baalon se bikharti hui champa ki mahak
surKH aariz pe damakte hue shaalon ki chamak
nichi nazron mein samai hui KHuddar jhijak
nuqrai jism pe wo chand ki kirnon ki phuwar
chandni raat mein bujhta hua palkon ka sitar
fart-e-jazbaat se mahki hui sanson ki qatar
dur mazi ki bad-anjam riwayat liye
nichi nazren wahi ehsas-e-mulaqat liye
wahi mahaul wahi taron bhari raat liye
aaj tum aai ho dohraati hui mazi ko
mera ye KHwab ki tum mere qarib aai ho
kash ek KHwab rahe talKH haqiqat na bane
ye mulaqat bhi diwane ki jannat na bane
Nazm
Diwane ki jannat
Waseem Barelvi