اردو हिंदी
Diwali | Shaahi Shayari
diwali

Nazm

Diwali

Nazeer Banarasi

;

ghuT gaya andhere ka aaj dam akele mein
har nazar Tahalti hai raushni ke mele mein

aaj DhunDhne par bhi mil saki na tariki
maut kho gai shayad zindagi ke rele mein

is tarah se hansti hain aaj dip-malaen
shoKHiyan karen jaise sath mil ke baalaen

har gali nai dulhan har saDak hasina hai
har dehat anguThi hai har nagar nagina hai

paD gai hai KHatre mein aaj yam ki yamraji
maut ke bhi mathe par maut ka pasina hai

raat ke karun main hai aaj raat ka kangan
ek suhagani ban kar chhai jati hai jogan

qumqume jale ghar ghar raushni hai paT paT par
le ke koi mangal-ghaT chha gaya hai ghaT ghaT par

raushni karo lekin farz par na aanch aae
ho nigah sima par aur kan aahaT par

hoshiyar un se bhi jo nigah phere hain
pak hi nahin tanha aur bhi luTere hain

chhoD apni napaki ya badal de apni dhun
maut lega ya jiwan do mein jis ko chahe chun

hum hain krishn ki lila hum hain wir bhaarat ke
hum nakul hain hum sahdew hum hain bhim hum arjun

daropdi se durghaTna dur kar ke chhoDenge
ai samay ke duryodhan chur kar ke chhoDenge

qabr ho samadhi ho sab ko jagmagaenge
dhum se shahidon ka sog hum manaenge

tum se kaam lena hai hum ko dip-malao
sare dip ki lau se dil ki lau baDhaenge

sab se garmiyan le kar sine mein chhupana hai
dil ko is diwali se agni bam banana hai