ghar ki qismat jagi ghar mein aae sajan
aise mahke badan jaise chandan ka ban
aaj dharti pe hai sowarg ka bankpan
apsaraen na kyun gaen manglacharan
zindagi se hai hairan yamraj bhi
aaj har dip andhere pe hai KHanda-zan
un ke qadmon se phul aur phul-wariyan
aagman un ka madhumas ka aagman
us ko sab kuchh mila jis ko wo mil gae
wo hain be-as ki aas nirdhan ke dhan
hai diwali ka tyauhaar jitna sharif
shahr ki bijliyan utni hi bad-chalan
un se achchhe to maTi ke kore diye
jin se dahliz raushan hai aangan chaman
kauDiyan danw ki chit paDen chahe paT
jit to us ki hai jis ki paD jae ban
hai diwali-milan mein zaruri 'nazir'
hath milne se pahle dilon ka milan
Nazm
Diwali aur diwali milan
Nazeer Banarasi