karam-KHurda kaghazon ke Dher mein madfun hai
chaTta hai harf harf
daere qausain san tariKH aadad o shumar
nuqta o zer-o-zabar tashdid o mad
hasil-e-binai o zauq-e-nazar
bandhta hai wahm o taKHmin o guman ke kuchh hisar
chumta hai katba-e-lauh-e-mazar
chand nuqte uD gae hain lafz kuchh kawak hain
us ki nazron mein KHazina ilm ka KHar o KHas-o-KHashak hain
kya alaem kya rumuz ishkal alfaz o huruf
aatish-e-taghair ke hathon pighal jate hain sab
waqt ki bhaTTi mein tap kar ek nae sanche mein Dhal jate hain sab
lamha lamha munkashif hota hua sar-e-hayat
munjamid alfaz ke sine mein apna nur phailata nahin
karam-KHurda kaghazon ki lash mein
KHun apna dauData nahin
karam-kaghaz hai harif-e-roz-o-shab
chaTta hai fuzla-e-ilm-o-adab
aur sar akDae KHallaqan-e-mani ki taraf KHanda-ba-lab
Nazm
Dimak
Waheed Akhtar