sham dulhan ki tarah
apne rangon mein nahai hui sharmai hui baiThi hai
gosha-e-chashm se kajal ki syahi abhi aansu ban kar
bahte ghaze mein nahin jazb hui
abhi khoi nahin baalon ki dil-afroz pareshani mein
muskuraati hui sindur ki mang
ghulte rangon mein abhi kahish-e-jaan baqi hai
ghulte rangon ka koi kya jaane
kab miTen kaise miTen
shab ki tarikiyan har samt bikhar jaen to aaram mile
ye chamakte hue zarre na rahen
zauq-e-tamasha na rahe
koi tamanna na rahe
ek kiran chhoD ke jati hi nahin
chashm-gin karti hui khel rahi hai ab tak
zard-ru ghas ke sine pe thirakti hui baDh jati hai
sang-rezo ki nigahon mein chamakti hui lauT aati hai
koi samjhae use jao chali jao yahan ab kya hai
dhup ke kanpte sayon ko zara baDhne do
shab ki tarikiyan chha jaane do
main ne sau bar kaha ek na mani us ne
muskuraati hui shaKHon pe larazti hi rahi
yun bhi taDpane mein ek lutf to hai soz to hai
rang ghulte hain ghulenge aaKHir
ghulte rangon ka koi kya jaane
kab miTen kaise miTen
apne rangon mein nahai hui sharmai hui
sham dulhan ki tarah baiThi rahi baiThi rahi
Nazm
Dhup ke sae
Altaf Gauhar