ye zindagi
gulon ki ek sej hai
na KHar-o-KHas ka Dher hai
bas ek imtihan ka
latif sa sawal hai
sawal ka jawab to muhaal hai
bas itna hi samajh len hum
ki zist dhup chhanw hai
kahin pe ye nasheb to kahin pe ye faraaz hai
jahan biThae ye hamein
wahin pe hum bisat-e-zat Dal kar
kiran kiran se
kuchh na kuchh hararaten nichoD len
tamazaten sameT len kuchh is tarah
ki chhanw ki inayaton bashaaraton
ka ek yaqin bhi sath ho!
Nazm
Dhup chhanw ke darmiyan
Arshad Kamal