اردو हिंदी
Dhup-bhari ajrak | Shaahi Shayari
dhup-bhari ajrak

Nazm

Dhup-bhari ajrak

Asghar Nadeem Sayed

;

us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne us dhup ko apni zamin par rakha

kapas aur khajur ugai
khajur se sharab aur kapas se apni mahbuba ke liye

mahin malmal kati
malmal ne us ke badan ko chhua

us par phul nikal aae
sharab ko zamin mein dabaya

us par taD ke daraKHt ug aae
is ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki

main ne us dhup ko apne dil par rakha
jo sarson ka phul ban gai

us phul se ek mausam paida hua
jis ka nam main ne ishq aur saKHawat ka mausam rakh diya

us mausam ke bij se ek rasta
us ke ghar ki taraf nikla

us bij se panch kabutar nikle
bhari hui gagar wale faqir ke rauze par ja kar baiTh gae

us ne mujhe dhup se bhari ajrak pesh ki
main ne use tumhaare ghar ke zine par phaila diya

taki tum dhup ki siDhiyon se mere dil mein utar sako
mujhe yaad hai kabhi na kabhi kahin na kahin

mera sitara tumhaare sitare ke qarib se guzra hai
us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki

main ne use samundar mein phaila diya
hawa ne us ka ras chusa

aur madhosh ho kar baadbanon se lipaT gai
samundar ke andar ek aur samundar nind se jaga

donon ek dusre ke KHarosh mein
der tak is dhup mein aankhen munde leTe rahe

is ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
phir main ne wo ajrak shahbaz qalandar ke ek

faqir ko de di
us ne mujhe dua ka ek baadal diya

main jise apne sar par liye phirta hun