us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne is dhup ko apni zamin par rakha
kapas aur khajur ugai
khajur se sharab aur kapas se
apni mahbuba ke liye
mahin malmal kati
malmal ne us ke badan ko chhua
us par phul nikal aae
sharab ko zamin mein dabaya
us par taD ke daraKHt ug aae
us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne us dhup ko apne dil par rakha
jo sarson ka phul ban gai
us phul se ek mausam paida hua
jis ka nam main ne ishq aur saKHawat ka mausam rakh diya
us mausam ke bij se ek rasta
us ke ghar ki taraf nikla
us bij se panch kabutar nikle
bhari hui gagar wale faqir ke rauze par ja kar baiTh gae
us ne mujhe dhup se bhari ajrak pesh ki
main ne use tumhaare ghar ke zine par phaila diya
taki tum dhup ki siDhiyon se mere dil mein utar sako
mujhe yaad hai kabhi na kabhi kahin na kahin
mera sitara tumhaare sitare ke qarib se guzra hai
us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
main ne use samundar mein phaila diya
hawa ne is ka ras chusa
aur madhosh ho kar baadbanon se lipaT gai
samundar ke andar ek aur samundar nind se jaga
donon ek dusre ke KHarosh mein
der tak us dhup mein aankhen munde leTe rahe
us ne mujhe dhup-bhari ajrak pesh ki
phir main ne wo ajrak
shahbaz-qalandar ke ek faqir ko de di
us ne mujhe dua ka ek baadal de diya
main jise apne sar par liye phirta hun
Nazm
Dhup bhari ajrak
Asghar Nadeem Sayed