wahm ke is jangal se bahar jaane ko
kabhi kabhi ek rah nazar to aati hai
baDhta bhi hun us jaanib thoDa sa magar
shak ki dhund se
ainak ke shishe dhundle ho jate hain
sab raste kho jate hain
Nazm
Dhund
Subodh Lal Saqi
Nazm
Subodh Lal Saqi
wahm ke is jangal se bahar jaane ko
kabhi kabhi ek rah nazar to aati hai
baDhta bhi hun us jaanib thoDa sa magar
shak ki dhund se
ainak ke shishe dhundle ho jate hain
sab raste kho jate hain