dhund ke rishte gahre hote jate hain
aawaz nahin jo aae
aur kanon ki bekar hawas par
jalte pani ke chhinTe de
soch sako to socho
aur is Dolte pal ki rakh par
apne ulTe sidhe nam likho
shankar durga widdya wijay sumitra
jo ab bhi hai wo kabhi na tha
jo kabhi na tha wo ab bhi hai
wo ab bhi hai aur tum us ko pahchante ho
jab dhund ka jhuT
tumhaare sar par nachega
tum rooge
kisi ko is ke na hone ka dosh na do
wo kaun tha
apne barson ke bhule bisre iman ki lajja
bhigi miTTi mein band kiye
is dukhi zamin pe haar gaya
pahchante ho
shayad
shayad to phir jaane do
bure bhale to peT ki kali tah mein hote hain
aur maTyali uljhan
aur jism pe kitni sard lakiren
khinchi jati hain
koi nahin joru ke
koi nahin joru ke
abhilasha kab paida hoti hai
kitni ghaDiyan roz baDhati hai
kitni ghaDiyan roz ghaTati hai
kab jagti hai kab soti hai
abhilasha durga hai
aur durga diesel pina sikh gai hai
us ne dudhiya kapDe aur sunahre gahne
utar diye hain
khilaune ab bhi mil jate hain
par dharti anaj se KHali hai
aur jeb mein KHak bhari hai
KHak chhupa kar chalna mushkil hai
jab saDken jati hon
jab dhup aur kuDe ke dhabbe
raftar ghulawaT chhoTe baDe ajdad
samay ke uDte zarron ka
be-zamir bhi jag uThe
to jeb ki tah mein
KHak chhupa ke chalna mushkil hai
shor hi shor aur gunge panw
taza aKHbar ke TukDe duniya
darwaze band karo
nanhe wijay se kah do wo so jae
duri sirf sisakti duri hai
wo kabhi nahin bhulaegi
darwaza band karo aur chup ho jao
dhund ke rishte gahre hote jate hain
Nazm
Dhund ke rishte hai
Ahmad Hamesh