raushan raushan raushan
aankhen yun markuz hui hain jaise main hi main hun
mujh mein la-tadad fasane aur maani hain
main sad-ha asrar chhupae phirta hun
main KHush-qismat hun mere sath jahan-e-rang-o-ranai hai
aur daricha-band nihan-KHanon se ruh-e-yazdan ki KHushbu uThti hai
mera sar o masham moattar karti hai
aur meri taqdir jahan par KHalq hui hai
jo arman kisi ke dil mein hai main us ki KHushbu hun
wa-hasrat ka arz o sama mein phaila naghma
jab mahbub talak ja pahunche
to phir main aawaz nahin rahta hun
aur na shiryanon ka bahta KHun-KHaraba
balki lafz-e-mutlaq ban jata hun
aankhen yun markuz hui hain jaise main hi main hun aur nahin hai koi
sachchi baat magar hai itni
main murdar samundar hun
ehsas ziyan ka jhonka hai
aankhen bol nahin sakti hain
aur badan binai se mahrum hua hai
lekin main to ab tak KHwab-zada taswiren dekh raha hun
aur samundar ke parbat par Thahra jangal
bite giton se pur jangal
azali KHamoshi ke haale mein thar-thar kanp raha hai
sadiyan saye shoKH fasilen aamanna saddaqna
ai-lo! suraj chand sitare dharti ke sine par utre
meri rahguzar par bikhre
halki maddham aur musalsal harkat
manzil phul kanwal ka phul adam ke bahr-e-be-payan mein
tanha jhule
bahar par markuz nigahon se maKHfi lafz-e-mutlaq
tanha aur udas kanwal par jhilmil jhilmil phuT baha
mauhum rida-e-koh-o-dasht-o-daman
duniya-e-man-o-tu par chhai
phiki phiki ho kar phail gai dhul bani
apna ganw, gori ke panw tak dhundlae
phaili raushan aur nirali dhund, aur dhund aur dhund
Nazm
Dhund
Iftikhar Jalib