wo qahwa-KHane mein aaya
aur hamari mez ke kinare bin puchhe hi baiTh gaya
hum baaton mein khoe hue the
soch rahe the duniya kya hai
kya ye stage hai jis par jiwan ka naTak hota hai
kya hum is be-nam Darame ke hain bas farzi kirdar?
uljhi thi apni guftar
aur achanak wo nau-warid
cigarette ka ek gahra sa kash le kar uTTha
hum logon ko ghaur se dekha
aur ye kah kar jaane laga
tum sab itna soch rahe ho
mujh se puchho duniya kya hai
hum ne socha baat karega
lekin ek barqi surat se wo nau-warid ja bhi chuka tha
(baire ne batlaya sahib! aane wala diwana tha)
ab hum log ye soch rahe the
wo to KHair ek farzana tha
lekin hum is fikr ke hathon ek din pagal ho jaenge
cigarette aur kafi dhuen mein uD kar baadal ho jaenge!!
Nazm
Dhuan
Salam Machhli shahri