kaun jaane ki abhi raat hai kitni baqi
umr-e-hangama-e-zulmat hai kitni baqi
abhi har samt dhuan-dhaar ghaTa chhai hai
paD rahi hai abhi aakash se tarik phuwar
abhi zindan-e-KHamoshi ke siyah hujre mein
sun raha hun kisi nagin ki musalsal phunkar
KHauf se dubke hue baiThe hain sadha panchhi
tah-ba-tah shaKHon ki tarik guphaon mein abhi
sans lene pe hain majbur sulagte hue rag
ek fusun-kar KHunuk KHwab ki chhanw mein abhi
aalam-e-yas mein hain peD abhi mahw-e-dua
jaanib-e-charKH uThae hue apni bahen
Nazm
Dhalti raat
Takht Singh