ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
an-ginat zawiye afkar ke le aate hain
in khilaunon se wo azhan ko bahlate hain
apne kartab pe wo iThlate hain itraate hain
aur mauhum si taskin yunhi pate hain
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
un mein KHush-kar bhi hain un mein riya-kar bhi hain
un mein gham-KHwar bhi hain un mein jafa-kar bhi hain
KHar-ha-e-mehn-o-dard ke tujjar bhi hain
aur gul-ha-e-mohabbat ke KHaridar bhi hain
shoabda-gar bhi hain chaalak bhi ayyar bhi hain
aur gardida-e-mehnat bhi hain fankar bhi hain
un mein behosh bhi hain un mein junun-kar bhi hain
un mein dana bhi hain bina bhi hain hoshiyar bhi hain
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
har musafir ko mulaqat ye ras aai hai
is mulaqat se hasti ne jila pai hai
is mulaqat ne ek raushni phailai hai
log baDhte hain to tahzib baDha karti hai
log laDte hain to tahzib miTa karti hai
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
Nazm
Mulaqat
Daud Ghazi