gahre shahron mein rahne se wusat ka ehsas miTa
la-mahdud KHalaon ki KHamoshi ka
KHauf miTa
ab aaram hai
jangal ka jadu aur hawaon ka sangit nahin to kya hai
ab aaram ki ab agyan ke paida-karda hath nahin
zalim hath ki jin hathon mein hath diye
mazhab ke viranon mein main mara mara phirta tha
ab aaram
samundar ki aawaz nahin to kya hai
us basti ki sab galiyon mein chalne ki aazadi hai
us basti ki galiyon ke namon mein neki aur badi ke nam nahin
sidhe-sade nam hain jaise lalach ghussa bhuk mohabbat nafrat
sab galiyon mein chalne ki aazadi hai
shahr nahin hain chaaron jaanib shor hi shor hai kya hai
gahre shahron mein rahne se azmat ka ehsas miTa
lambe hamlon par jaane ka qudrat se Takrane ka arman miTa
ab aaram hai shahron mein insan miTa
Nazm
Nae shahr
Zahid Dar