zindagi ishq ki wahshat-bhara afsana thi
mere hathon mein wo ek zahr ka paimana thi
ruh ka gham ma-e-gulfam se kam kya hota
koi tiryak ba-juz wasl-e-sanam kya hota
kho gai 'parbati' roti rahi 'chandrmukhi'
zindagi luTti rahi rah-guzaron mein meri
ghamgusaron ki bhi yaad aai magar bhul gaya
us ki banhon ke siwa kuchh na mujhe yaad raha
ek ubharti rahi taswir KHala mein barson
main akela hi phira dasht-e-wafa mein barson
jal bujha jism ke hamrah dil-e-sozan tak
jaan dene chala aaya hun dar-e-jaanan tak
mar rahun jaise be-bas-o-lachaar mare
kya qayamat hai ki yun ishq ka bimar mare
na-umidi hai ki ab taqat-e-didar gai
ruKH-e-jaanan ki hawas ruh-e-giraftar gai
raat lo KHatm hui aur zaban band hui
mujh ko malum tha KHamosh sawera hoga
log phenk aaenge mujh ko jahan us marghaT par
maut ka chhaya hua ghor andhera hoga
chil kawwon ne magar lash ke TukDe kar ke
har taraf kucha-e-jaanan mein bikhera hoga
Nazm
Dewdas
Anjum Azmi