ghaDi do ghaDi ki masarrat
ye sadiyon pe phaila hua dew-qissa hamare lahu mein rawan hai
kisi ghonsle mein se anDe churaata hua surma
ek chite se gur sikhta koi bachcha
kaman khinchta aur mada ko nawak se niche giraata hua
aag daryaft karta hua koi laDka
ajab suraten hain
shab-e-dastan-goi sadiyon pe phaili hui hai
hawa margh-zaron ki yaKH-bastagi mein nahin rah saki
so yahan aa gai hai ki apna badan garm kar le
ye aag ab jibillat ki tartib ka lazima hai
bahimana KHaslat ko taskin deta hua ek unsur
hawa dew-malaon ke daur ki ek buDhiya hai
jis ko har ek dastan yaad hai
ye ghaDi do ghaDi ki masarrat
jise dastan-go ki baaton se hum ne kiya hai kashid
ek din aaega jab hawa apne qisse mein wo suraten laegi
jin ka aaina hum hain
shab-e-dastan-goi mein hum jo mabhut o hairan baiThe hue
dastan sun rahe hain
kabhi ek ThiThuri hui raat mein hum kahani ka markaz banenge
jo bachche adam hain
hamein dastan mein ghira dekh kar khilkhilaenge
mabhut-o-hairan honge
Nazm
Dew-malayen sachchi hoti hain
Tabish Kamal