darwaze pe jo aankhen hain
aankhon mein jo sapne hain
un sapnon mein jo murat hai
wo meri hai
darwaze ke bahar kya hai
ek rasta hai
jis par meri yaadon ka shahr basa hai
mera rasta dekhne wali un aankhon ka jal bichha hai
mujhe pata hai
lekin un aankhon ko kaise main ye baat bataun
har raste pe itni bhiD chalna mushkil ho jata hai
aawazon ke is jangal se bachna mushkil ho jata hai
dukh ka aisa lamha aata hai hansna mushkil ho jata hai
jab aise haalat khaDe hon
qadmon mein zanjir ki surat
raushniyon ke sae paDe hon
aise mein dil un aankhon se
ek hi baat kahe jata hai
der-sawer to ho jati hai
Nazm
Der-sawer to ho jati hai
Almas Shabi