aalam-panah
KHair se bedar ho gae
aalam-panah!
KHair
kahan aap chal diye
raste tamam band hue
der ho gai
aur kaisi dopahar mein
ghani raat ho gai
fanus
jhaD
qumqume raushan nahin hue
aur taqchon mein baqi nahin koi bhi charagh
aur begamat hujre se bahar nikal paDin
aur shahzadiyon ke saron par nahin rida
ye rang-o-rup
ye qad-o-qamat
ye chashm o gosh
kya raste mein farsh bichhane ko koi hai
koi kaniz koi bhi KHadim nahin raha?
shirini-e-latafat-o-araish-e-hayat
aur kya hue wo naz-o-nazakat ke shahkar
diwar par hai aayat-ul-kursi ka chaukhaTa
juzdan o ja-namaz masahri ke pas hai
aanhken uTha ke dekhne wala koi nahin
pahnae aa ke aap ko pa-posh kaun ab
masnad-nashin jo aap hon ye waqt wo nahin
ye waqt hai ajib
ki mushkil baDi hai ye
shoara
musahibin
asa-da o KHasa-dar
mir-e-sipah
ghulam bhi baqi nahin rahe
jo jang hone wali thi aaghaz ho chuki
jo raat Dhalne wali thi
kab ki wo Dhal chuki
shahi-mahal ke par to duniya badal gai
aur asp-e-shah-gam to sab jaT le gae
aalam-panah
shahr to barbaad gaya
Nazm
Der ho gai
Faheem Shanas Kazmi