koi hadsa
koi saneha
koi bahut hi buri KHabar
abhi kahin se aaegi!
aisi jaan-lewa fikron mein
sara din Duba rahta hun
raat ko sone se pahle
apne-ap se kahta hun
bhai mere
din KHair se guzra
ghar mein sab aaram se hain
kal ki fikren
kal ke liye uTha rakkho
mumkin ho to
apne-ap ko
maut ki nind sula rakkho!!
Nazm
Depression
Mohammad Alvi