KHauf ke jazire mein qaid hun main barson se
dur tak fasilen hain
aur un pe lohe ki unchi unchi baDen hain,
nok-dar kilen hain
Dalta kamanden hun jail ke kinaron par
KHar-dar taron par
siTiyan si bajti hain der tak samaat mein
pahre-dar aate hain
beDiyan si sajti hain
panw ko uThana, bhi hath ko hilana bhi
jism bhul jata hai
jurm bhi nahin malum, umr bhi nahin malum
kuchh pata nahin mujh ko us taraf fasilon ke
kis qadar samundar hai
kashtiyan bhi chalti hain, baadban bhi khulte hain
nur ke jahan bhi hain, jism ke makan bhi hain,
aadmi wahan bhi hain
chhoDiye, nahin jate
kya karenge bahar bhi
Thik hai fasilon mein
aansuon ki jhilon mein chand ko utarenge
be-hisi ke Tilon par naqsh-e-pa ubhaarenge
maut ke glamour mein Dub Dub jaenge
qabr ke andhere se raat ko sajaenge
maut ka fasurda-pan kitna KHubsurat hai
ek jahan udasi ka bas meri zarurat hai!
Nazm
Depression
Mansoor Aafaque