chyunTiyan kitni rondi gain
aaKHiri sans tak
palaT kar jhapaTne ki ummid mein
sar uThati rahin
kitna be-muddaa hausla
dekhte dekhte miT gaya
rengti chyunTiyan
jild ko chir kar
KHun mein mil gain
mere aasab mein
bijliyan ghul gain
ab main koi aur hun
ek ghayal darinda
zaKHm hi zaKHm hain
chahe apne hun ya dusron ke
zaKHm hi zaKHm hain
mujh pe ab koi hansta nahin
sari basti hai sahmi hui
log sab falsafe
bandh kar bhag uThe
main akela baDi der tak
KHud pe hansta raha
aaine se ye kahta raha
ya to har dard ke koi mani hain
ya phir kisi dard ke koi mani nahin
Nazm
Dekhte dekhte
Qazi Saleem