darKHto? muntazir ho!
paniyon mein jhankte kya ho?
khaDe ho sakit-o-jamid
KHud apne aks ki hairaniyon mein gum
tako ek dusre ka munh
raho yun istada
paniyon ko kya
yunhin bahte rahenge
aks jo jhalkega
sath-e-ab bas aaina ban kar jagmagaegi
hawa jo mauj mein aai
to bas lahron se khelegi
tumhaare Dagmagate aks ko
koi sambhaala tak nahin dega!
tumhaare apne patte taliyan piTenge
san-san sansanahaT se hawa ki
kanpti shaKHen
karengi kya
kanar-e-abju mah-ru
taka karta tha ghanTon mahwiyat se
ishtiyaq-e-did ka aalam
har ek patte ki aankhon mein
tumhaara dilruba mah-ru
wo ab lauTe bhala kaise
darKHto bhul sakti hai kahan
wo shakl
jis ko dekh kar pani ki aankhen
is tarah se jagmagati thin
ki us ko dekhne
qaus-e-quzah ke rang
hanste khilkhilate
aa gale lagte the lahron se!
kai ek bar tum ne bhi
usi ki chah mein
jhuk kar
hawa-e-tez mein bhi
be-KHatar
chumi thi peshani isi pani ki
jo mil kar hawaon se
jaDon mein bhar raha hai nam!
use kis baat ka hai gham
giroge munh ke bal to
qahqaha pani ka sun lena!
tumhein apni tahon mein yun chhupaega
KHabar tak bhi nahin hogi kisi ko
tum yahan par the
baha le jaega
anjaan se un sahilon tak
aur
wahan un sahilon par
KHas-o-KHashak mein Dhal kar
tumhaari muntazir aankhen salamat rah gain to
dekh loge KHud
wahi mah-ru
palaT kar jo kabhi aaya nahin tha!
Nazm
Dekh lo ge KHud!
Arifa Shahzad