اردو हिंदी
Dehli | Shaahi Shayari
dehli

Nazm

Dehli

Wamiq Jaunpuri

;

hamari majlis-e-shura ke unche unche mahal
nazar jhukae jumud-e-amal se sar bojhal

wo bebasi ki zara aage baDh nahin sakte
kitab-e-waqt ki tahrir paDh nahin sakte

bhaDak rahe hain nigahon ke samne shole
zaban na munh mein ho jis ke wo kis tarah bole

ye shahr-e-dilli bahisht-e-nazar jo tha kal tak
bana hua hai jahannam zamin se ta-ba-falak

siyah-shole dilon ki siyahiyan le kar
uThe hain aaj watan ki tabahiyan le kar

makan ko KHud hi makinon ne kar diya barbaad
miTa di apne hi hathon se satwat-e-ajdad

KHud apni teghon se apne hi gardanen kaTen
taDapti lashon se nafrat ki KHandaqen paTen

tamam shahr pe chhai hui hai ek wahshat
nazar jhapakte hi kaisi badal gai haalat

dukanen luT rahi hain goliyon ki barish hai
siyahkaron se ahl-e-duwal ki sazish hai

darinde dauDte phirte hain saDti lashon mein
lahu se tar kiye naKHun gosht danton mein

gharon ka haal to bazar se bhi bad-tar hai
jidhar uThao nazar zindagi mukaddar hai

jo luT chuke hain wo ghar saen saen karte hain
jo jal rahe hain abhi sard aahen bharte hain

nikal paDe hain makanon ko chhoD kar shahri
jab aabru pe ban aai to maut ki Thahri

hazaron auraton ka aaj luT raha hai suhag
na jaane kitni tamannaon mein lagi hai aag

yatim bachche bilakte hain godiyon ke liye
gharib shahr taraste hain roTiyon ke liye

ujaD ke kitne maabid bane siyah-KHane
jo aadmi ko na samjha KHuda ko kya jaane

ye haal dekh ke sakte mein aa gai hai fasil
tamam qile ka maidan bana hai KHun ki jhil

bahae baiThi hai aansu lahu ke chandni-chowk
karol-bagh ke dil mein qaroliyon ki nok

purani dili se bhi baDh gai nai dilli
purane qile mein ja kar basi nai dilli

hazar bar ye basti ujaD ujaD ke basi
hazar bar ye dilli bigaD bigaD ke bani

magar kuchh ab ki dafa is tarah ke charke hain
ki jitni choTen hain utne hi dil ke TukDe hain

ye juD to sakte hain lekin kahan hai wo marham
jo TuTe rishton ko qaumon ke kar de phir baham

magar ye kaise ho jab chaarasaz KHud lachaar
ilaj kaun kare jab tabib KHud bimar

hamari majlis-e-shura ke unche unche mahal
nazar jhukae jumud-e-amal se sar bojhal