zulf-e-KHuban ki tarah dehli ki saDken hain daraaz
aur Tanga hankne walon pe zahir hai ye raaz
motron se kaise ho sakta hai mera saz-baz
kash ki petrol bhi hota sharab-e-KHana-saz
pi ke is sahba ko hotin motaren mast-e-KHiram
main to hun mard-e-musalman mujh pe pina hai haram
aur akela hun bhi to paidal chala jaunga main
laila-e-mahmil-nashin ko kaise samjhaunga main
najd ka naqa kahan se DhunD kar launga main
panch chhe bachchon ko aaKHir kaise bahlaunga main
ek ho to god main le lun ki wo bhaari nahin
main magar insan hun ai dosto lari nahin
Tange wale hain samand-e-naz ke upar sawar
aabla-pai ye kahti hai ki ab chalna hai bar
dekhte hain mere juton ke talon ko jab chamar
kyun hui jati hain ya-rab wo nigahen dil ke par
chhoD kar juton ko chal sakta nahin, hun nange panw
mary ye haalat hai bacha jis tarah pahne khaDaun
aa gae dehli mein jab se aadmi patal ke
ho gae maghrur malik har KHar-e-dajjal ke
chalte chalte ho gae KHam panw banke lal ke
hum bhi ujrat mein Take dete to hain Tiksal ke
hum se lekin mil nahin sakte unhen aandhi ke ber
luTte hain ajnabi ko jo dikha kar her-pher
Nazm
Dehli ki saDken
Syed Mohammad Jafri