yahan gorich chalti hai
to jaise ruh chhilti hai
zamistan aa ke rukta hai
to ek ek rome dikhta hai
tajjub hai mujhe pal pal
ki ab ke sal wadi mein
hamari shaal wadi mein
sunahri dhup ab tak parbaton par raqs karti hai
abhi tak sans ki hiddat labon ko garm rakhti hai
ragon mein KHun ka dauran ab tak hai dopahron sa
KHizan ke zard chehre par shararat ab bhi baqi hai
abhi patton ne apne atlasi jame nahin badle
sisakti aur Darti shamen ab tak muskuraati hain
kyun ab tak titliyan phulon pe aa ki khilkhilati hain
abhi nilahaTen baadal ke dhoke mein nahin aain
abhi tak naddiyan kohre ke qabze mein nahin aain
guzishta sab mahinon ko
yahan sare makinon ko
ajab ye fikr lahiq hai
ye apne sard lahje mein abhi tak kyun nahin bola
ye us be-dard lahje mein abhi tak kyun nahin bola
december aa gaya hai kya
Nazm
December aa gaya hai
Injeel Saheefa