larazne wale laraz rahe hain
larazte jhonke
guzarte bal khate rengte sarsaraate jhonke
nisai malbus ki tarah sarsarane wale
kaDakne wali ki chabukon se
agarche daur-e-rawan ke aansu Tapak rahe hain
magar nazar jis taraf bhi uThti hai dekhti hai
guzar rahe hain guzarne wale
ye kaun dubka hua is aawara raste mein khaDa hua hai
ki jaise sabun ka koi rangin bulbula ho
zamin ke bachpan mein jo bhi shai thi wo na-shanasa-e-arzu thi
shabab aaya to rengne wali reng uThi
aur aaj ye haal hai ki har shai ye chahti hai
ki ek tufan ban ke girae raston mein
ye kaun dubka hua us aawara raste mein khaDa hua hai
ki jis tarah bahte bahte aawaz ruk ke ye sochne lagi ho
ki ju-e-sahra bahegi kab tak
ye zindagi ek ju-e-sahra hai bah rahi hai
larazne wale laraz rahe hain
magar nazar jis taraf bhi uThti hai dekhti hai
guzar rahe hain guzarne wale
Nazm
Guzar rahe hain guzarne wale
Anjum Rumani