TuTti reza reza simaTti hui saaton ki
koi sath-e-sada nahin
ek waqfa ka daman bhi dhabbon se KHali nahin
ye nazar ka nahin
asl mein ek tazad-e-nazar ka karishma hai
warna ye auraq-e-mahtab bhi
jitne lagte hain ujle nahin
munh khuli aur laDki hui raat se
lamha lamha bhabakti hui raushnai
bahut tez hai
raat ke koele
jab shuruat taqrib ke dhime dhime sulagte alaw mein
jalne lagen us ghaDi
aur jab beach ke marhale mein dahakne lagen us ghaDi
aur jab KHatm taqrib ki rakh mein aankh milne lagen
is ghaDi bhi safedi ka KHalis tasawwur nahin
apni marzi ki be-dagh taswir ke waste
canwas koi sada nahin
Nazm
Canwas koi sada nahin
Zaheer Siddiqui